Busy Accounting Software Me sales man Kese Add kare
busy software Busy Accounting Software Me salesman Kese Add kare
namastey dosto ek bar fir apka swagat hai apkamitra par.
last blog me hamne jana tha ki Busy Accounting Software me sales man configuration kese karte hai. aj hum bat karenge ki busy software me salesman kese add kare .
To sabse pehle hum create company/open company karenge.
Administration par click karne ke bad MASTERS par click karna hai
Masters tab open hone ke bad SALESMAN option par click karna hai
Salesman option par Click Krene ke bad 3 OPTION open Honge
1. ADD OPTION :- add option me hum kisi salesman ko add kar sakte hai.
2. MODIFY OPTION :- modify option me hum salesman ki details modify kar sakte hai
3. LIST OPTION :- List option me sabhi salesman ko dekh sakte hai.
ADD SALESMAN WINDOW :-
jab hum salesman add karenge to ek window kuch is prakar se open hogi
1st STEP :- isme salesman ka name add karenge
2nd STEP :- salesman ka address, unka mobile number or unki e-mail id dalenge
3rd STEP :- iske bad salesman accounts to be credited me account me specify karenge. or save kar denge
kuch is tarike se hum busy software me sales man ko add karenge
Next Topic:- busy ke Sales Me feature me saleman ka use
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें